Wednesday, November 25, 2015

Zindagi AiK Anmol Moti


Mien tu Heeran Ho, Heeran Nahe hay Koi
Aadmi Itne hay, Insaan nahe hay Koi

Aik Din Sone (Gold) ney Lohe sey Kaha K hum 2no Lohe ki Hath-oro sey Pith-te hay, Paar Tum Chilate Q zada Ho, Lohe ne Sone ko Muskra kar kaha k jab Apna he Apne ko Marta hay tu DARD Buht Zada Hota Hay.
Nazreen Kehtey Hay Alfaaz k Danth (teeth) Nahe Hote, Laikhn Jab Ye Alfaaz Kat-te hay To DARD buht ZADA hota hay. Aur Nazreen kabhi Kabhi ye Zakham itne Gehre ho jate k ye Zindagi ko  he Khatm kar daite hay

Aaj kal Hum ye Sochte hay K ye Dunya matlab ki haay, Matlab huta hay tu Yaad Karte hay Tu unka Bura Mat Mane, Q k Aik Moom-Bati ( Candle) ki yaad tab ate hay jab andhera hota hay.
Es Zindage mien apko Kaye Log Mile ge. Par 3 tarah k Logo Ko Kabhi Mat Bhoolna , pehle wo jinho Ne muskil waqt mien apka sath dia hu, 2sre wo jinho ne muhskil waqt mien apko choor(left) dia ho aur 3sre wo jinho ne apko Mushkil mien dala ho.

Nazreen aik buht mashoor shair hay k:
Masale mana meri zaat mien the
Hal magar Uske tere Hath mien the
Tum ne Khoool di jo Zulfe, to Khole
Bait jitne b Kianaat mien the.



Ajki akhri bat kar k Es post ko Publish kartey hay K Jis Traha Ikhlaq mien kabhi Haar nahe us he Trah Takbur mien kabhi jeet nahe hote.





Post by
Muhammad Basharat

No comments:

Post a Comment